Wednesday, August 22, 2018

Ik jhalak jo mile teri, ki rooh jaag jaye.
Par itni door yun majboor hain hum, 
ki chah kar bhi paa na sake.

Yun baaho main bhar kar le chale wahan,
jahan chah kar bhi koi aur aa na sake.

Bas hum ho aur hamari khamoshiya,
nazrein wo baat kare, jo hont bata na sake.

Kho jaaye hum yun aankhon main tumhari,
ki poori kayenaat bhi dhoondh ke la na sake.

-Abhinava Sharma "Deep"

No comments: