Thursday, June 6, 2019

Tumhare Khayal Mein!

Aankhon se challi kar choda is haal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Siskiyon mein bhi chodte ho saath nahi,
aansuon mein bhi laate ho baat wahi,
ki aansuon se phas jao shayad is jaal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Mud kar phir dekhte ho pyaar se jab,
ankahee baatein keh dete ho sab,
machal uthata hai dil phir is bawal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Chale jaate ho phir yun rooth kar aise,
gaya ho seene se dil choot kar jaise,
tadapti hai rooh, phir bas ek sawal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Sawal wo yeh, ki khata bhi kya ki maine,
khoya jo tumhe, aisi daga bhi kya di maine?
Kho jaata hoon in sawaalo ke janjaal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Shuru hota hai phir ek lamba intezaar,
tumhe paane ki karta koshishe hazaar,
shayad aa jao wapas, kisi mahine, kisi saal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Khayalon ke zariye tumhe paa leta hoon,
khwaabon main apna bana leta hoon.
Par mil jao kabhi adhoori si visaal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

Adhoora na reh jaun kahin bina tumhare,
aur jeeta rahoon in dooriyon ke sahaare,
Zindagi guzar na jaye yun he is malaal mein,
har pal guzarta hai tumhare khayal mein.

-Abhinava Sharma "Deep"

No comments: