Ye aadhe kajal se bhari aankhein,
aur aadhi si muskaan liye,
Zulf ki ek lat ki dhaar se tumne,
Na jaane kitne katleaam kiye.
Chudiyo ke anginat rango se rangti,
Suraj ki kirno se zyada chamakti,
Honto ki laali ko laga kar ke,
Na jaane kitne aashiq neelam kiye.
Kaali safedi ko lapet kar ke,
Nigaaho main aahein samet kar ke,
Har saans se dewaangi barsaate hue,
Har deewane apne naam kiye.
-Abhinava Sharma "Deep"
No comments:
Post a Comment