Friday, September 18, 2009

Kalyug Ka Satya

Aaye hain, aaye hain, Netaji
Waade naye naye laaye hain.
Aaiye sune inka bhashan.
Hamari samasya ke-
kya kya upaye hain.

Bol uthe Netaji-
"Bhaiye aur Beheno, Pranaam,
Hum hain aapke rajya ke Raja Ram.
Humein jo kehna hai suniye,
Apna Neta humein he chuniye.
Hum jo kehte hain, wahi karte hain,
Chunav hum bas jeetne ke liye ladate hain.

Hum waise Neta nahi, jo waade na nibhaye,
Hum waise Neta nahi, jo satya na dikhaye.
Hum apni janata ko kabhi nahi bhulayenge,
Hum jo kahenge, kar ke dikhlayenge.

Aapne tarah tarah ke Neta dekhe, Neta-
Jo dete hain jhoothe bhashan,
Jo dete hain jhoothe aashwasan.
Jo aapke peeth peeche karte hain choriyan,
Aur aap he ko loot ke-
bharte hain apni tijoriyan.
Jo karte hain, ghotalon pe ghotale,
Karte hain apne kaale muh aur kaale.

Hum naya daur layenge-
Satya ke bal par Rajya chalayenge.
Hum jaati pe, rang pe, na kabhi karenge bhed bhav,
Hum sab par karenge saman sa anyaye,
Aur sabko denge ek se ghaav.

Hum karenge atyachaar, failayenge bhrashtachaar,
Par apne har karm ka hum, karenge garv se prachaar.
Kitno ne kahe hain jhooth-
Kitno ne machayi hai loot.
Par hum kranti layenge-
Jo karenge, pehele batlayenge.
Agar khud makkhan khayenge,
To malai aapko bhi chakhayenge.

Yeh hai kaal ke jaal main, anyaye ka akhara,
Par jeetenge hum-
Kyunki satya hamara bol hai,
Aur satya hamara naara.

Yeh kalyug hai, raaj kaale karmon ka.
Karm to hum badal nahi sakte,
Par keh sakte hain satya apne adharmo ka.

Layenge badlav hum is kalyug main,
Failayenge satya hum is yug main.

Aur hamari janata,
jinse hai humein pyaar.
Jin par aage chal kar,
Humein karna hai atyachaar.

Karte hain aapse nivedan-
Apna vote de humein.
Aur apne rajya ka neta humein chune.
Kyonki baakiyon se hum ache hain,
Isiliye ki pure ke pure hum luchche hain.

Party ka naam SATBOL, aur chinh hamara taara,
Kyun ki satya hamara bol hai, aur satya hamara naara."

-Abhinava Sharma "Deep"

1 comment:

Abhi said...

Well this my attempt of a 'Vyang'.
A sarcastic yet humorous approach to today's politics.

Comments are welcome.