Tuesday, March 13, 2018

Hikayat


Tumhari aankho ki palko pe saje wo sapne,
Un sapno main aane ki meri khwahish,
Us khwahish ki tadap main karahta hua,
Har karaah main tumhara naam pukaarta hoon.

Tumhare honto se nikle wo ankahe lafz,
Un lafzo ke anginat matlabo ki gehrayiya,
Har gehrayi ke dhundh main doobta hua, 
Khud se khud ko kho ke tumhe paata hoon.

Apne pyaar ke izhaar ki asafal koshisho main,
Har koshish main mayusi se apna kar haar ko,
Har haar ko jeet main badalne ki saazish kar,
Tumhe jeetne ke tadbeer bana nikal jaata hoon.

Tumhare pyaar ke intezaar main bitaye har pal,
Pal pal ye dil ka imtehaan leta hua waqt,
Har waqt pe jeet kar mera pyaar aur main,
Apne saath tumhara naam bhi amar kar jaata hoon.

-Abhinava Sharma "Deep"

No comments: