Nikle hain le ke yaado ki kashti, leheron se
takraate hue.
Jayenge us paar, saare yaar, waado ko nibhate
hue.
Aaj mile hain hum sab, gale mitle muskurate hue.
Bichade the saalo se, yaadon main aaye hain
ithlate hue.
Wo baatein aaj bhi yaad hain, wo yaadein aaj bhi
saath hain,
jinke sahare hum jeete rahe hain, gham ke ghoont
peete rahe hain.
Wo yaar nahi dildaar hain, mile jo fir is baar
hain,
jeena seekha tha jinke saath, har tareef ke wo
haqdaar hain.
Le chale is baar fir, is kashti ko us paar fir,
karta hai jahan intezaar hamara, bachpan ka
sansaar fir.
Paya hai ye saath, bade duaon ke baad,
warna zindagi lagi thi karne ko, har yaad ko
barbaad.
Yaadon mein jeena he suhata hai, bhale jitna
satate ho ye.
Ye dost he hain sab kuch, bhale jitna tadpate ho
ye.
Ye kashti ab zindagi hai meri, aur dhadkan iski
har yaad.
Pahunch jaye us paar, ya iske saath ho barbaad,
bas yahi hai fariyaad, bas yahi hai fariyaad.
-Abhinava Sharma "Deep"
-Abhinava Sharma "Deep"
No comments:
Post a Comment