Monday, October 30, 2017

Bhagwaan ke Insaan

Bhakti main bhatakte hain,
bhawnao main behekte hain,
is insaan se bach ke rehna,
ye mazhab ko bhagwaan samajhte hain.

Dharmo main uljhe pade hain,
bin baat ke ek doosre se lade hain,
is insaan se bach ke rehna,
ye marne maarne ko taiyyar khade hain.

Doob gaye hain jazbaato main,
sukoon paate hain aaghato main,
is insaan se bach ke rehna,
hain dharm ke hathiyaar in haatho main.

Ram ke naam pe khoon bahate hain,
ye Allah se bhi gunaah karate hain,
is insaan se bach ke rehna,
apne bhagwaan ko bhi ye bech aate hain.

-Abhinava Sharma "Deep"

Ishq

Ishq main doobe aashiq yun he rote hain, 
jab ishq wapas na aaye.
Par chahat kabhi marti nahi, 
bhale chahne waale chale jaaye.
Jeena marna to jismo ka khel hai, 
dil jismo se na lagaye.
Ishq to roohani hai, 
koi rooh ko juda kar ke dikhaye.
Ashk bahaye aashiq firte hain, 
jab ishq main haar jaaye.
Nafrat main fir khuda se ladte hain, 
par inko kaun samjhaye.
Aashiqui aur khudai ek he hai, 
ye baat inki samajh na aaye.
Ishq main aashiq bhi milega aur khuda bhi, 
kabhi shiddat se dil lagaye.
-Abhinava Sharma "Deep"


Thursday, October 26, 2017

Yaadon ki Kashti

Nikle hain le ke yaado ki kashti, leheron se takraate hue.
Jayenge us paar, saare yaar, waado ko nibhate hue. 
Aaj mile hain hum sab, gale mitle muskurate hue.
Bichade the saalo se, yaadon main aaye hain ithlate hue.

Wo baatein aaj bhi yaad hain, wo yaadein aaj bhi saath hain, 
jinke sahare hum jeete rahe hain, gham ke ghoont peete rahe hain.
Wo yaar nahi dildaar hain, mile jo fir is baar hain, 
jeena seekha tha jinke saath, har tareef ke wo haqdaar hain.

Le chale is baar fir, is kashti ko us paar fir, 
karta hai jahan intezaar hamara, bachpan ka sansaar fir. 
Paya hai ye saath, bade duaon ke baad, 
warna zindagi lagi thi karne ko, har yaad ko barbaad.

Yaadon mein jeena he suhata hai, bhale jitna satate ho ye.
Ye dost he hain sab kuch, bhale jitna tadpate ho ye.
Ye kashti ab zindagi hai meri, aur dhadkan iski har yaad.
Pahunch jaye us paar, ya iske saath ho barbaad, 
bas yahi hai fariyaad, bas yahi hai fariyaad.

-Abhinava Sharma "Deep"