Yeh
andheri raatein, aur yeh kale din,
Isi soch main pal kar katate hain har pal,
ek subah aayegi fir shayad koi kal.
Niklega nav surya jab, nayi kiran koi lekar,
honge hamein bhi darsh khushi ke naya tyag koi dekar.
Yahi
tap tyag kehlate fir jagat main nyare,
Fir kehta jag, tumne badi shurma darshayi,
is shurta ka mol nahi lekin laga sakta hai koi.
Yah hain wo shoor, jo rehte apno se door,
jo chah kar bhi na chahane ko hote hain majboor.
Aashaon trishnao main jeena inka dharm raha,
Isi
dharm ke liye jeete hain yeh wardi wale.
Isi dharm ke liye jeete hain is dharti ke rakhwale.
Isi dharm ke liye jeete hain is dharti ke rakhwale.
In barfeeli chattano par jo na yeh veer lade hote,
goliyon se tez hawayein, jinko na cheer khade hote.
In balidano ke bina tumhara jeevan saral kya rehta,
in tap tyago ke bina tumhara ghar sajal kya rehta.
Na
hote veer yeh khud apne mukh kahlakar,
Apna jeevan bhi yeh duniya ko daan main dete hain,
badle main paate kashth aur woh bhi shaan se lete hain.
Rann
he inka jeevan raha, aur rann hai inka kann kann,
Naman in veeron ko, aur inke balidanon ko,
Sheesh naman karta hoon, in rann ki santano ko.
-Abhinava
Sharama “Deep”