Sunday, November 18, 2012

|| AKELA ||



Na khwab, na chahat, na he koi ummeed,
Jee raha hoon andhakaar main, ab bujh gaye sab deep.

Chale gaya door sab apna, ab kuch na raha kareeb,
Khud se nazrein milana bhi ab lagta hai ajeeb.



Is andhakaar main ab main khota sa ja raha hoon,
neend nahi aati fir bhi sota as ja raha hoon,

aansu sukh chuke na jaane fir bhi rota sa ja raha hoon,
is andhakaar ko ab main apnata sa ja raha hoon.
Yaadon ko apni bhulata sa ja raha hoon.


Khwabon main jee raha tha, ab neend se jaaga hoon,
dost, yaar, pyar, sab peeche chod ke bhaga hoon,
jala diya aaj sab kuch, aur sab kuch apna tyaga hoon,
apne he haathon se cheen liya apna, main aisa abhaga hoon.
Khwab, chahat, ummeedon ko apni dafnata sa ja raha hoon,
is andhakaar ko ab main apnata sa ja raha hoon,
aashaon, trishnaon ko apni jalata sa ja raha hoon,
yaadon ko apni ab bhulata sa ja raha hoon,
yaadon ko apni ab bhulata sa ja raha hoon…

-Abhinava Sharma “Deep”

No comments: