Chal diye the is rah mein, na jaante the manzil kya hogi,
thi hamari kayi aarzooyein, na jaante the haasil kya hogi.
Aa chuke hain us mukam par, jahan sab anjaan sa hai.
Laga tha hum khushi payenge, par yahan sab sunsaan sa hai.
Janna chahate the, in saalon ki mehenat ka fal kya hoga,
par jo paya us-se dil thoda hairan sa hai.
Jaane kya paane ki chah main, sab kho chuke hum,
ab to jeena bhi lagata ik apmaan sa hai.
Par koi afsos nahi hai, kyun ki yeh rah humnein khud chuni thi,
is bayane safar ki har ek ghadi humnein khud buni thi.
Jo paya, jo khoya. Jis jis karan se dil ye roya hai,
woh sab ateet ke saath, peeche choot gaya hai.
Ab hamare aage, ik nayi disha, ik nayi subah hai.
Aaj se hum apni rah khud banayenge,
chalenge jis or, us or safalta payenge.
Apne is janm ko sarthak kar jayenge.
-Abhinava Sharma "Deep"
No comments:
Post a Comment