
Jab jab aasmaan main laalima chati hai,
Surya ki thandi kirano se jab dharti saj jaati hai,
Warsha ki boondo se jab bhoomi nahati hai,
Tab tab mujhe tumhari yaad aati hai,
Mere zehan main ek aashanka cha jaati hai-
Aur mujhe hamaari doori ka ehsaas dilati hai.
Kaliyon ke chaman main jab bhi koi phool murjhata hai,
Hawa ke bahaw main aakar, daali se jab koi patta gir jaata hai,
Sannate ki lehar main jab koi cheekh uthata hai,
Nadi ki leharon se jab chattan chilata hai,
Tab tab mere di se ek karah aati hai,
Ki tumhari aaj bhi aisi kya majboori hai-
Jo hamare beech aaj bhi itni doori hai.
Tumhara khayal jab bhi mere zehan main aata hai,
Khushi se mera rom rom khil jaata hai,
Mera dil zoron se dhadakta hai
Mera man tumse milene ko tadapta hai,
Aankhe tumhaari talaash main lagn ho jaati hain,,
Saanse tumhari khushaboo main magn ho jaati hain.
Dil chahta hai ki samay tham jaaye-
Man chahta hai ki who tumhare khayalon main rum jaaye.
-Abhinava Sharma "Deep"
No comments:
Post a Comment