Tuesday, August 14, 2007

Bhula Hua BHARAT


Aaj se saath (60) saal pehele Bharat main swatantrata ka surya uday hua tha.
Aaj hi ke din swaraj se angrez rajya hataya gaya tha.
Aaj hi ke din laal kile par peheli baar Tiranga leharaya gaya tha.
Kya humne is din ke bare main kabhi gaur kiya hai,
Ki is din ko lane ke liye kitano ne apne praano ka balidan diya hai,
Ki kitano ne apni jaane gawa kar, humein ek azad mulk pradan kiya hai.
Aazadi se pehele aazad Bharat sabka ik sapna tha,
Aazadi ke din who sapna sab ka apna tha,
Lekin humara lakshya sirf mulk aazad karana nahi tha,
Balki desh aazad kara kar use bulandiyon tak pahunchana tha.
Humara pehela sapna to saakar hua,
Lekin, humare doosre sapne ka kya hua?
Har saal hum aazadi ka jashn manate hain,
Lekin usmein hum yeh kyon bhul jaate hain,
Ki aaj bhi hamara sapna adhoora hai,
Aur ab, hum sabko milke use karna poora hai.
To aaiye is pavitra din par hum shapath lete hain,
Aur apne aap se kiye hue us waade ko poora karte hain,
Apne us doosre sapne ko saakar karte hain,
Aur Bharat ko uski bulandiyon tak pahunchate hain.
Aaj se saath (60) saal pehele Bharat main swatantrata ka surya uday hua tha,
Par use ast kabhi nahi hone dena hai,
Isi prakar sada roshan rakhna hai.
-Abhinava Sharma "Deep"

1 comment:

Anonymous said...

GOT SOMETHING TO DWELL UPON