Jaane kyun aaya tu?
Ye janm kyun paya tu?
Aa ke haasil kya kiya?
Saath kya laya tu?
Jeeta din gin gin tu,
marta hai har din yun,
ban kar aag ka shola,
yun khud ko jalaya kyun?
Ye janm kyun paaya tu?
Na kuch mila, na kuch payega,
apni he aag main jhulas jayega.
Jala kar khud ko khud se he,
hai raakh ban aaya tu.
Ye janm kyun paya tu?
-Abhinava Sharma "Deep"