Wednesday, January 17, 2018

Intezaar

Ummeed ke adhaar par jeete gaye hum.
Aansuo ke saath gham ke ghoont peete gaye hum.
Usne kaha intezaar karna, aaungi main,
aur intezaar main kacche dhaago se sapne seete gaye hum.

Na wo aayi, na unki koi khabar aayi.
Palak tak na jhapke hum, par wo na nazar aayi.
Har saans mein khuda se unhe maanga,
par na koi minnat na koi dua asar aayi.

Lekin ab na milenge wo ye jaan gaye hain hum.
Laut kar na aayenge, unko pehechaan gaye hain hum.
Par ye dil aaj bhi unke intezaar main baitha hai,
ye marne tak na maanega, ye maan gaye hain hum.

Aakhiri saans tak bhi aa gayi agar wo.
Bujhti aankho pe bhi cha gayi agar wo.
Maut bhi mehbooba lagegi,
marte dil ko bhi apna gayi agar wo.

-Abhinava Sharma "Deep"






Sunday, January 14, 2018

Ashk aur Aashiq

Uski yaad main bahe ashk kaash yaadon ko bhi saath le jaate.
Zindagi fir se haseen ho jaati, agar wo kabhi yaad na aate.
Be-waqt use yaad kar, lamhe kuch yun kho rahe hain.
Zindagi beeti jaa rahi, aur hum yaadon main ro rahe hain.

Uski aag main lipti zindagi, ab tadap tadap kar jal rahi hai.
Hum mar ke jee rahe hain, aur jawani yun he dhal rahi hai.
Ab na aao khayalo main, aur na satao mujhe.
Kaise bhool jaun use, bas itna batao mujhe.

Meri zindagi mujhe wapas chahiye, in yaadon ko koi le jaye.
Dafna de ise samundar main aur meri khushiya wapas de jaye.
Karz manunga uska jo mujhko sahi raah dikha de.
Le jaaye ye saare dard wapas aur phir se jeena sikha de.

-Abhinava Sharma "Deep"