Sunday, July 2, 2017

Poori Tum, Adhoora Main

Ik kashti ho tum, aur main ik padav.
Tum aake guzar jaati ho,
aur main intezaar main jeeta rehta hoon.

Ik roshni ho tum, aur main ik saaya.
Tum ujaalo ko apnati ho,
aur main andhakaar main dooba rehta hoon.

Ik bhaawna ho tum, aur main ik swabhaav.
Tum har ghadi badalti ho,
aur main aadat main uljha rehta hoon.

Ik sawaal ho tum, aur main ik khoj.
Tum har roz tadpaati ho,
aur main saari zindagi talaashta hoon.

Ik khwahish ho tum, aur main ik aarzoo.
Tum mil kar bhi adhoori ho,
Aur main arziyo main he marr jaata hoon.

-Abhinava Sharma "Deep"

Tum

Tujhsa haseen, shayad kahin,
hoga koi, mujhe lagta nahi.

Tera aks, meri aankhon main basa,
tera deedar lekin mujhe milta nahi.

Teri har ada, mujhe karti fida.
tujhse juda, ho kar ji sakta nahi.

Tujhsa dhundha maine har jagah,
par tujhsa koi doosra maine paya nahi.

Tujhe paane ki aarzo hai bas meri,
par tujhe apnana hai mumkin nahi.

Teri aakhon main kho chuka hoon is kadar,
ki ab koi mujhe, bacha sakta nahi.

Tujhsa haseen, shayad kahin,
hoga koi, mujhe lagta nahi.


-Abhinava Sharma "Deep"