Nahi chahta tha tumhara dil todna,
nahi chahta tha tumhe naraaz karna.
Par tumhara dil jo yon ruth raha hai,
ye saath jo hamara chut raha hai.
Main nahi chahta ye sab ho jaye,
main nahi chahta ki dosti hamari kho jaye.
Tum jo saza dogi, main taiyyar hoon.
Maine jo kiya, galat kiya, main tumhara gunahgaar hoon.
Par mujhe apni zindagi se door mat karo,
mujhe yun rone par majboor mat karo.
Jo bhi maine jhuth bola, tumhare paas aane ke liye,
tumhare dil main apni dosti ka ehsaas jagane ke liye.
Mera tareeqa galat tha, par mera irada nahi,
tumse kiya har wo vaada nahi.
Main bas kareeb aana chahta tha,
tumhari zindagi ka hissa banana chahta tha.
Mujhe maaf karo, jo maine kiya sahi nahi tha,
maine tumhara dil dukhaya, sahi nahi tha,
par main sirf tumhara pyar chahta tha,
tumhari dosti ka sahara chahta tha.
Par ye sach mujhse kaha nahi gaya,
aur kahe bina, raha nahi gaya.
Par ab maine sach bataya hai,
aur main janata hoon, ki tumhe bahut sataya hai.
Mujhe ab nayi shuruat karne do,
meri dosti ko galat mat samjho, aur mujhe apni galati ko sudharne do.
Mujhe apni zindagi se door mat karo,
mujhe yon marne par majboor mat karo.
Main khud ki lagayi aag main, yun he jal raha hoon,
tadap tadap ke andar se yun he gal raha hoon.
Tumhe kho kar main chain se jee na sakunga,
Is dard ko main yon pee na sakunga.
Meri is galati ko maaf kar do,
aur mujhe apni zindagi ka hissa banane do,
muskurao, ab aur aansu na behne do.
-Abhinava Sharma "Deep"