Ek shaam sheher ke mele mein gaya,
kaam kuch mujhko tha nahi,
poori botal pe gaya.
Us mele mein kahin se
khula Saand aa gaya,
na jaane kahan se use main bha gaya :(
mujhe dekh aise muskuraya
jaise usne ghotala ho pakad liya,
aur meri samajh main ye na aaya,
ki maine aisa kya tha sharab main piya :O
Ab Saand meri orr bhaga;
maine aankhe kholi, aur nashe se jaaga.
Aur soch main pad gaya,
ki ye kya ho raha hai,
pee maine rakhi hai-
chadh Saand ko kyun gayi hai :O
Saand ne mujhko poori tarah se jakad liya,
aur mujhe bistara samajh kar, mere upar chadh liya.
Kuch he der main log aa gaye,
aur ye ek tamasha sa ban gaya :(
Kabhi Saand mere upar,
kabhi main Saand ke neeche,
kabhi main Saand ke neeche,
to kabhi Saand mere upar.
Kuch log kehene lage,
ye mele main kaisa khel aa raha hai?
kuch ne kaha nahi-
ye koi action scene filmaya jaa raha hai.
Ek chora aage aaya aur chillaya-
are action scene nahi,
ye to mele main naya romantic khel hai aaya :D
Kuch der baad rehem kiya usne,
aur mujhe par se hata,
aur mujhe aisa laga mano-
dharti ko maine he tha utha rakha :)
Itne main Saand ka maalik aaya,
aur main us par chillaya-
SAALE SAAND PAALTE HO,
TO USE BANDHATE KYUN NAHI?
KHULA MELE MAIN KYUN CHODATE HO,
LOGO PAR JAANLEVA HAMLE KARWATE HO,
TUM TO AATANKWAADI KE BHI BAAP LAGATE HO. x(
Wo bola-
Are mujhe par kyun chillate ho-
tum khud nakaab kyun nahi lagate ho?
Kyunki ismain Saand ki kya galti hai,
jab tumhari shakal he gaaye (Cow) se milti hai.
-Abhinava Sharma "Deep"